Thursday, April 24, 2014

Takdeer ka khel

Har taraf se takdeer ne humme maara hai,
zindagi ne humme iss kadar sathaya hai,
na mohobaat raas aaye humme,
na sache dosti kabhi mile hai humme...

bebaasi ne thaam hai humara haath,
kismat ne hasin khel khela humare saath,
andheri raaho mein dundne chale thee,
taqdeer se hum ladne chale thee...

kisse malum tha apne he badkismati se milenge,
aasoon ke sailab se hum takrayenge,
tanyahi ko apna humsafar banayenge..
kaanton se bhari raah par hum chalenge...

Wednesday, April 23, 2014

Aaj phir tere yaad aa gaye



Aaj phir tere yaad aa gaye,
na chahate huwe aankh bhar aaye,
na milne wale fariyaad zubaan pe phir aa gaye,
aaj phir tere yaad aa gaye...

zindagi har taraf se khubsurat kabhi lage thi,
dil pe mere, tere mohobaat cha gaye,
tere bahoon mein meine jaanat dekhe thi,
kyun aaj phir tere yaad aa gaye...

suhana mausaam tha joh tere sang kabhi,
khushi ke bahar din raath dekhe thi,
kabhi humne saath rehne ke duwa sang ke,
aaj phir wahi pal yaad aa gaye...

muskurate hum chale thi jin raho pe,
pata hi na chala kab akhele rahe gaye,
kab tu mujhe akhela chod gaya...
lo aaj phir tere bewafi yaad aa gaye...

Monday, April 14, 2014

kaash hum bache hi rehthe..



kaash hum bache hi rehthe...

Kash bachpan na jatha,
duniya se paare rehthe,
ghar pariyar se door na jathe
kaash hum bache hi rehthe...










School jathe doston sang khelthe,
mummy pappa school se pick aur drop karthe
kabhi Homework pappa ke saath, kabhi mummy ke karthe,
ek roti khane ko hum unko kitna sathate...
Kaash hum bache hi rehthe...

patang udhate bhaiyo sang,
kabhi ruthe kabhi haste,
holi jab aate toh bhare rehthe rang,
galiyoon mein ghumthe dosto ke saang,
Kaash hum bache hi rehthe...

dosto ke saath cycle chalate,
gil-le dhanda toh kabhi ghar ghar khelthe,
kabhi skipping toh kabhi hide nd sike khelthe,
dosto ke khelone le kar thod dethe,
kaash hum bache hi rehthe....

kaash hum bache hi rehthe..
beete din bachpan ke bulaye nai jathe,
woh waqt aaj, laut ke na aayega..
jahan kahi bhi ho mere dosto,
aap sab ko mera dil yaad ke bina reh nai payegaa...


Thursday, April 3, 2014

Paise ke azeeb maaya hai..

Paise ke azeeb maaya hai
pyaar kisi ko nai pana hai,
naye logo ka naya andaaz hai,
kisse ko waqt pyar ke liye nai dena hai??

kareed liya hai paise ne ristho ko,
wafadaari na rahe matha pitha ya bacho ko,
Insaan ne wafadaari chode hai,
ghardan usne paiso ke aage jhukaye hai...

khoon kharabi duniya mein woh karaye,
bacho ko mata pitha se door woh karaye,
kareed saktha hai woh humdardi aaj,
insaaniyat, desh ya kisi bhi rishthe ko aaj...

uske khushboo ke sab deewane hai,
usko kabhi door karthe nahi..
andha bhi dekhne lagtha hai usse,
paise ne aisa apna ghera rang chada rakha hai

Yeh paisa kaise tere azeeb maaya hai??

Dard- e- judaai
















Dard- e- judaai na kabhi maange thi tujh se,
tujhse duriyaan chahi na thi kabhi,
tujhe paane ke umeed chodenge na kabhi,
aaj na toh kabhi na kabhi dhoor bandege tujh se...


tere zindagi ka hissa hai, maano ya na maano..
yaad mein tere saad rahenge tere..
beete dino ke paano ka jab zikhar karoge...
sab se baade deewane hum hi keh layenge tere...


aaso ke samdaar ko mere dekh kar tum haste rahe,
usse par kabhi tumne apne kasthe chalthe rahe,
dard usme kitna hai woh ehsaas tujhe aaj na ho toh kya?
mere pyaar ne tujhe sahara diya wahi soch kar hum khush rahe...