Tuesday, November 3, 2015

Mohobaat ke Gehariyee

Na jaane kitne sadiyaa beet gaye, humme jeete tera naam lete,
Na jaane kitne armaano ko dil mein humne dafan kar le hai,
na koi seema, no koi sarhad tujhe yaad karne ke
warna tujse pyar karne ke, yaad karne ke haadh jaan lete..

khud pe reham aata hai, haasi aate hai khud pe,
yakeen nai hota apne iss mohobaat ke gehariyee pe,
na jane kaise jee gaye hum har lamha tujhe yaad karte,
dil ko sambhala hai tere laut ke aane ke umeed se..

Kash tujhe mere awaz sunaye de kabhi, harjaye...
mere bhehate ashq ke khamoshi, tujh tak pooch jaye..
kabhi tu bhi soche, tera kya chooth gaya hai,
kaun hai joh dard seh kar bhi tujhse milne ke fariyaad kar raha hai..

Monday, November 2, 2015

woh sapne aaj phir yaad aa gaye

Aaj uss bedardi ke yaad aa gaye,
aaj uske bewafi yaad aa gaye..
sapne uske saath jeene ke kabhi dekhe the,
woh sapne aaj phir yaad aa gaye.. :(

Kabhi meine banaya tha mohobaat ka ashiyaan,
pyar ke khusboo, badalon ke beech mein,
phoolo ke mehkate, khusboo har jagah,
Jahaan tu aur mein koi aur tha na darmiyaan..

Ek pal na laga tujhe barbaad karne mein,
dil thodne mein, aashu dene mein...
Intezaar tera aaya, tanhai saath laya,
mood kar toh dekha hota, tere ishq ne kaisa kehar barsaya!!!!

Tuesday, October 13, 2015

Na tum apne ho na paraye

Kabhi na ikraar kiya na izhaar kiya,
kabhi hum, tumhare hai yeh ehsaas kiya..
kis haq se roothe tumse,
hum apke hai yeh kabhi na mehsoos kiya.

Tumse pyar karna humare kamzoori hai,
bhulana, dil se nikalana kabhi na kar pate hai,
saadiyaa bheet gaye tumhare dil ko samajathe,
zindagi bheet gaye khamoshi ko zuban dete...

Na tum apne ho na paraye..door ho aur na paas,
kaise kahe hum, tumhare hai jab lakero ke karein baat,
tujhe paane ke duwa karte, kaat thi hai saare raath,
Taqdeer ka saath na mila, warna Tanhai kyun hote saath..

Monday, September 28, 2015

Apne kaise ho jathe hai paraye...

Waqt na jane kaise beeth jatha hai,
par woh lamha bhula nai jatha hai..
apne ek pal mein kaise paraye ban jate hai,
par yaadein unke dil se door nai jate hai..

Aise koi shaam nai jab unke yaad na aaye ho,
aisa koi din nai jab unka naam zuba pe na aaya ho,
muskurate hai, haste hai har pal hum
dosto ko bech khudh ko ghere rehte hai, dard chupane ko..

Haar jathe hai, tanhayee se, unke yaado se,
jitna hum bhagthe hai unke yaado see..
Gher hi letha hai humme woh bina dastak diye,
bheg jathe hai palke mausam ke badal jane se..

Thursday, August 13, 2015

I love my India

Dekho Garv se Tiranga leharthe hai, seena taan khada hai Desh..
Azad dharti maa ke baache hai hum,jisse kehte hai sab Bharat desh...

Aa gaya azadi ka din, karo yaad shahido ko..
un jawano ko, un veero ko, karo yaad unke kurbanio ko..

Kadam se kadam milao sathiyo, mere saath tum bhi chalo sathiyo,
azad desh ke wasi hai, Vande Mataram kehte Tiranga lehrao saathiyo..



Jai Hind I love My India

Wednesday, June 3, 2015

Memory lane






















Today, i sit behind walking down my memory lane,
I watch myself playing, laughing and with no pain..
I see all my friends and dancing in the rain..
my lit sis enjoying her first cycle ride
when she rode it all by herself tht was my pride..

I had no fear when i was on the swing..
when i moved my feet to and fro in the wind..
I watched out from the car window looking at the moon,
asking dad where does it move during the noon...
He always smiled and said "it never goes, it will be back soon.."

I look at my friends in school I made,
whose memories will never ever fade..
My classrooms, our teachers, the fun and the play ground..
Happy was I to have them around..
SAD but that fun will never be found..

I remember my mother sharing the value of life,
she helped me grow and pass through the journey of life..
memories never fade, nor can I hold my past,
Gone are the days but the memories last..
I sit behind today walking down the memory lane...

Thursday, May 28, 2015

My lonely path















My life is still as i walk all alone,
Loneliness is my path, sadness is my companion,
with painful memories tears in my eye,
I walk this path with an empty feeling..

There is no body around to share my feelings,
i walk alone singing the song,
searcing for words, searching for phrases,
I express my feelings, singing it along...

There were times when happiness hugged me,
it stayed for a while and left me..
There is nothing left but I am moving on..
I'm aware of the hurtful ending and so I am gone..

Thursday, May 21, 2015

mohobaat dulhan se saaze

khile kaali Tamanayo ke, Mehfil khushi kee,
Chahat barathi the mere, mohobaat dulhan se saaze...
har jagah roshni dekhe tere pyaar ke..
khawabo ke beech khade arzoo shehnai kee.

jisne mere rooh ko dekha usne tere tasvir dekhe..
mein deewane hoon tere har zubban ne kahe..
jisne mere dil ko jaana usne tujhe hi paya,
har lamha mere laboo pe tera hi naam suna..

jis raha se tum laut aayoge, uspe phoolo ka bistar sajayenge,
Tujhe dekhene ke icha apne dil mein basayenge..
Yeh kash mera intezaar rang laaye,
tere raah takte takte kahi zindagi tamam na ho jaye..

Thursday, April 30, 2015

Zindagi ek sawal



Zindagi pe meine socha kuch alfaz lekhoon,
kuch acha ek uspe nagma lekhoon,
kafi waqt bheeta alfzo ko jodne mein,
har ek lamha bheeta isse dhundne mein....

kabhi laga zindagi humne jee hi nai,
kabhi laga isne jeene nai diya...
halke se jalak khushi ke dekhe,
baki ghana andera sa laga...

zindagi bhar jin dosto ke peeche bhage,
na woh dost, na koi aur humsafar dekha...
zindagani ka ehsaas kabhi nai huwa,
tanha aur bebaas khudh ko har lamha paya...

Zindagi khud ek sawal ban ke khade ho gaye..
aise sawal samane le aaye....
lagtha hai ek lamha khud ke liye jeeya hi nai,
sham sawar auro ke khushi mein beeta hai...

Tuesday, April 21, 2015

Qayamat tak tujhse pyar karenge



Mere in laboo pe tere kahani kabhi nai aayege..
tere naam ko hum anjana, begana sa baana denge..
kabhi mefil mein bhi tera naam agar sunenge
ashq toh door kabhi aah tak nai bharenge..

Tune kabhi tukraya tha mere chahat ko,
haar mere nai woh haar hai tere,
hum ne toh woh chaha tha joh kabhi tha hi nai apna,
tumne toh woh khoya jisne janat mana tha baho ko tere..

Tumne koi kasar na chodi ujadne mein mere zindagi,
phir bhi qayamat tak tujhse pyar karenge,
tere jag hasai na ho yahi tamana liye jeete hai,
tere berukhi ko dil ke gheriye mein dawana lenge..

Monday, April 20, 2015

Door mat hona mujhse

naa sahen hote doori tujhse,
kaise karoon bayan majboori tumse,
maaf kar de yeh dil tujhe pe itne sitam dhaye,
na chahate huwe bhi tum pe kehar itne barsaye..

kismat baade zalim nikale, thoote lakeriyee humme thamaye...
mazboor itna kar diya halat ne, judai ko humare beech woh le aaye..

tujhse door hone pe hum kitne baar maarein hai,
iska tu hisab na kar....
Beintehaa mohobaat karte hai,
iss mohobaat pe tu kabhi shak na kar..

Tuesday, March 17, 2015

Alvida kehne ka waqt..

Shayad alvida kehne ka waqt aa gaya hai,
tumse door jane ka abh waqt aa gaya hai...
mera saath itne tak tha mere humraz
humare judai ka abh waqt aa gaya hai...

tujhe kabhi na bhul payenge hum,
tere tasvir ko dil mein sajayenge hum,
yaad kabhi na karna saathi mere,
tere bina jeene ja rahe hai hum..

tere sawalo ka koi jawab na hoga mere paas,
Jeeyenege liye tumse milne ke aas..
tujhse yeh duri mere liye ek saza hai..
Par dard-e- judai apne naseeb ka khela hai..


I will miss you :(

Monday, March 16, 2015

parchaiyee se daar lagne lagtha hai...

Seshe se daar lagtha hai,
khud se daar lagtha hai..
zindagi ne hum pe itne kehar barsaye,
abh jeene se daar lagtha hai..

Kash ke saaso ke ginte band ho jaye..
zindagi ke yeh ghadhi band ho jaye..
iske sitam na sahen ho pata hummse,
kash apne dadkan yahi rukh jaye..

Har mood pe na jane kyun imtahaan leta hai?
na jane itna zehar kahaan woh samethe rakhtha hai?
aalam abh yeh ho gaya mere dost..
apne parchaiyee se daar lagne lagtha hai...

Thursday, March 12, 2015

laut aane ke fariyaad



















kyun koi jagah banatha hai zindagi mein,
koi anjana sa pyara sa lagne lagtha hai..
hastha hai woh, khushi deta hai woh..
kwabo ke nagari mein le jatha hai woh..



jab aa hi jatha hai toh chala kyun jatha hai,
hasta chera tanha mein badal jatha hai..
saare khushi apne saath le jatha hai..
ghum ke badal peeche de jatha hai..



laakh awaz duo palata nai woh harjai,
nam se ankhein ashqo se bhar aaye..
pardesi tha woh, apne desh kyun chala gaya..
uske laut aane ke fariyaad mere duwao mein shamil kar gaya...

Wednesday, March 11, 2015

Ghum-E- Aansu

Kisi ne kaha humse alvida kehte nai,
kisi ko zindagi se door karte nai...
jisse dil-o-jaan se pyar karte hai..
usse dil se juda karte nai,

aane ka wada woh har pal karte hai,
intezaar par uss pal ka katam hota nai...
humne toh unke raah pe ankhe basaye rakhe hai,
woh hai ke kabhi aate hi nai..

Mohobaat Ghum E Aansu kyun deta hai,
jisi chaho, woh waha nibhata nai..
unse milne ke fariyaad har lamha karenge
apne mohobaat ko kabhi ruswa karte nai..

Tuesday, March 3, 2015

Acha din kab aayega???

Kaha sab ne ache din aayenge...
Gharibo ko sahara, amir imanandar banenge..
Na kahi brashtachar hoga aur na koi maar peth hoge..
naye sadko ka wada, kahi nadiyoo ke safai .

yaad aate hai Pradeep chacha ke baatein,
keh gaye woh, suraj na badla chand na badla,
na badla re aasman kitna badal gaya insaan..
socho logo kitne sachi hai yeh baatein...

aaj bhi nari abla hai, booke bache kitne hai,
athank ke girafat mein pura desh gira hai..
bhai-bhai ka dushman bana huwa hai..
desh ka khandha aaj bhi sharam ke maare jhukha hai...

Abh bolo kab acha din aayega????

Zindagi hai ek sawal!!!


Shayad sadiyaa bhet gaye jeete huwe,
 har pal zindagi ko jawab dete huwe...
 ek ek kadam pe isne naye sawal diya
 Gujari humne isse suljate huwe..




Thakta nai yeh apne kitab ke pane palate..
 jab tak hum isse jawab de dusra woh tayar karte hai..
 har mod pe woh na jane kya seekhana chahte hai..
 dard zyaada khushi kaam dete huwe...

Na jana kyun woh itne ulje huwe hai,
sulaj ne pe bhi na sulajthe hai..
rakha hai ghum ka khazana apne paas,
humse har hal mein hasne ko khete hai...

Monday, March 2, 2015

Dooriyoon ke pal


















Kehte hai mujhse door rehne ke saaza unhe bhi mile hai,
unhone bhi judai ke gum mein aaso bahaye hai...
kaise kahoon kantoon se bhari raha unhone hume de hai..
bahar mein patjar unhe ke wajah se hai..


Humne toh sirf unke baho ka sahara manga tha,
kahi door unke saath apne pyar ka ashiyaan chaha tha...
zamane ke parwah unhe thi, warna hum toh unke ho chuke the..
Kaise kahoon yeh Dooriyoon ke pal unke ke wajah se hai...

Na jane iss safar mein saath kyun nai de paye woh,
hum toh unke parchaiyee thi, pure janat mere the woh...
kehte hai bahut pyar karte the kabhi, 
jab saath dena tha tab kyun akhele chod gaye woh..

Haal-e-dil

Aaj woh dil ka dard dekhate hai jisne kabhi khudh dard diya....
Haal-e-dil sunate hai jisne kabhi khela dil thodne ka.......
Wah rabha aaj maan gaye tere rehmat ko ,
usse mohobaat karna sheekha diya, jisne tanha kisi ko chod diya.....