Monday, June 2, 2014

Dil ka rista

Dil ka rista kab dil ka dard ban jatha hai,
yeh afsaana aaj tak kisi ne na jana hai...
dilbaar kab anjaana ban jatha hai..
yeh kisi ne aaj tak na jana hai...

phool khele huwe mohobaat ke, kaante ban jate hai..
raah taakte taakte na jane kab ankhen naum hote hai,
adhuri zindagi aur saathi tanhai ban jate hai,
yeh kisi ne aaj tak na jana hai...

khawab bhare ankhen, aasu se bhar jate hai,
apna hi koi paraya ban jatha hai...
haal-e-dil sune wala koi nai reh jatha hai,
yeh kisi ne aaj tak na jana hai....