Tuesday, March 17, 2015

Alvida kehne ka waqt..

Shayad alvida kehne ka waqt aa gaya hai,
tumse door jane ka abh waqt aa gaya hai...
mera saath itne tak tha mere humraz
humare judai ka abh waqt aa gaya hai...

tujhe kabhi na bhul payenge hum,
tere tasvir ko dil mein sajayenge hum,
yaad kabhi na karna saathi mere,
tere bina jeene ja rahe hai hum..

tere sawalo ka koi jawab na hoga mere paas,
Jeeyenege liye tumse milne ke aas..
tujhse yeh duri mere liye ek saza hai..
Par dard-e- judai apne naseeb ka khela hai..


I will miss you :(

Monday, March 16, 2015

parchaiyee se daar lagne lagtha hai...

Seshe se daar lagtha hai,
khud se daar lagtha hai..
zindagi ne hum pe itne kehar barsaye,
abh jeene se daar lagtha hai..

Kash ke saaso ke ginte band ho jaye..
zindagi ke yeh ghadhi band ho jaye..
iske sitam na sahen ho pata hummse,
kash apne dadkan yahi rukh jaye..

Har mood pe na jane kyun imtahaan leta hai?
na jane itna zehar kahaan woh samethe rakhtha hai?
aalam abh yeh ho gaya mere dost..
apne parchaiyee se daar lagne lagtha hai...

Thursday, March 12, 2015

laut aane ke fariyaad



















kyun koi jagah banatha hai zindagi mein,
koi anjana sa pyara sa lagne lagtha hai..
hastha hai woh, khushi deta hai woh..
kwabo ke nagari mein le jatha hai woh..



jab aa hi jatha hai toh chala kyun jatha hai,
hasta chera tanha mein badal jatha hai..
saare khushi apne saath le jatha hai..
ghum ke badal peeche de jatha hai..



laakh awaz duo palata nai woh harjai,
nam se ankhein ashqo se bhar aaye..
pardesi tha woh, apne desh kyun chala gaya..
uske laut aane ke fariyaad mere duwao mein shamil kar gaya...

Wednesday, March 11, 2015

Ghum-E- Aansu

Kisi ne kaha humse alvida kehte nai,
kisi ko zindagi se door karte nai...
jisse dil-o-jaan se pyar karte hai..
usse dil se juda karte nai,

aane ka wada woh har pal karte hai,
intezaar par uss pal ka katam hota nai...
humne toh unke raah pe ankhe basaye rakhe hai,
woh hai ke kabhi aate hi nai..

Mohobaat Ghum E Aansu kyun deta hai,
jisi chaho, woh waha nibhata nai..
unse milne ke fariyaad har lamha karenge
apne mohobaat ko kabhi ruswa karte nai..

Tuesday, March 3, 2015

Acha din kab aayega???

Kaha sab ne ache din aayenge...
Gharibo ko sahara, amir imanandar banenge..
Na kahi brashtachar hoga aur na koi maar peth hoge..
naye sadko ka wada, kahi nadiyoo ke safai .

yaad aate hai Pradeep chacha ke baatein,
keh gaye woh, suraj na badla chand na badla,
na badla re aasman kitna badal gaya insaan..
socho logo kitne sachi hai yeh baatein...

aaj bhi nari abla hai, booke bache kitne hai,
athank ke girafat mein pura desh gira hai..
bhai-bhai ka dushman bana huwa hai..
desh ka khandha aaj bhi sharam ke maare jhukha hai...

Abh bolo kab acha din aayega????

Zindagi hai ek sawal!!!


Shayad sadiyaa bhet gaye jeete huwe,
 har pal zindagi ko jawab dete huwe...
 ek ek kadam pe isne naye sawal diya
 Gujari humne isse suljate huwe..




Thakta nai yeh apne kitab ke pane palate..
 jab tak hum isse jawab de dusra woh tayar karte hai..
 har mod pe woh na jane kya seekhana chahte hai..
 dard zyaada khushi kaam dete huwe...

Na jana kyun woh itne ulje huwe hai,
sulaj ne pe bhi na sulajthe hai..
rakha hai ghum ka khazana apne paas,
humse har hal mein hasne ko khete hai...

Monday, March 2, 2015

Dooriyoon ke pal


















Kehte hai mujhse door rehne ke saaza unhe bhi mile hai,
unhone bhi judai ke gum mein aaso bahaye hai...
kaise kahoon kantoon se bhari raha unhone hume de hai..
bahar mein patjar unhe ke wajah se hai..


Humne toh sirf unke baho ka sahara manga tha,
kahi door unke saath apne pyar ka ashiyaan chaha tha...
zamane ke parwah unhe thi, warna hum toh unke ho chuke the..
Kaise kahoon yeh Dooriyoon ke pal unke ke wajah se hai...

Na jane iss safar mein saath kyun nai de paye woh,
hum toh unke parchaiyee thi, pure janat mere the woh...
kehte hai bahut pyar karte the kabhi, 
jab saath dena tha tab kyun akhele chod gaye woh..

Haal-e-dil

Aaj woh dil ka dard dekhate hai jisne kabhi khudh dard diya....
Haal-e-dil sunate hai jisne kabhi khela dil thodne ka.......
Wah rabha aaj maan gaye tere rehmat ko ,
usse mohobaat karna sheekha diya, jisne tanha kisi ko chod diya.....