Tuesday, August 16, 2016

Rhythm of my silence

I mistook, my silence to be heard by you,
Nobody on earth, but it was only you...
It makes a lot of noise, freaking loud...
which can be heard just by you..


I mistook my silence to shout and scream,
always felt you heard, as that was my dream...
I want you to hear the song of my silence,
which I sing, feeling your presence...


It's not just my feeling, not just love for you...
You are my life, I am empty without you..
I want you to feel, want you to hear,
Rhythm of my silence, hug me and stay near...

Friday, July 22, 2016

Iqraar-e-waffa



Kya saaza de sakte ho humme,
pehle hi mohobaat ke saaza pa le hai...
tumse joh wafa nibhaye hai hummne,
mehfil mein bhi tanhai pa le hai...

kabhi tumko bhi mohobaat ka shukh tha,
kabhi tumko bhi toh Iqraar-e-waffa tha,
jazbaat, pyar ke samundar mein tha,
ishq, wafa ke lehrein mein tha....

Kaise raste alag huwe humare,
kab tumne haath humara choda,
palat kar bhi ek baar nai dekha,
ehsaas na huwa, kya halat huwe hoge tum bhi humare... :( 

Monday, July 18, 2016

Bharat desh humara hai

Kehte hai ache din layenge hum, swach bharat chalaenge hum..
Dhal ho gaye mehenge, pyaaz tomator ghar lane mein nikal gaya hai dhum

Inko chodo yeh socho desh ke nagrik banke kiya kya humne,
desh ke unnati ke liye, kya kiya meine??

yahaan wahaan beech raste thukta hai koi,
yeh kabhi socha??, garib nanga pair chalta hoga koi...??

Sarhado mein shahid humare kai jawaan huwe,
na jaane kitne maao ke bache kurban huwe..

Chalo kuch karte hai hum, saath rehte hai hum,
na karte hum apas mein jagdha, na koi mazhab na koi danga..

Ache din hum layenge, band muthi jaise mil jayege..
Bharat desh humara hai, usse hum swach bharat banayenge...








Tuesday, June 28, 2016

Dil ke awaz

Iss dil ke awaz kyun tujh tak nai jathe,
kyun jawab nai deta tu mere pyar ke sawal ka,
kabhi mere chehre ke muskaan huwa kartha tha,
kyun bana tu wajah mere ashqo ka...

Hairan hoon aaj tak zinda hoon,
tujhse bechad kar bhi saas le rahe hoon,
Intezaar hai har pal maut ka,
ek ek lamha ginte rehte hoon...

Mohobaat ka na sahi, tanhai mein saath de,
door se hi sahi, tere hone ka ehsaas de...
Khushi ka na bana, par ghum ke wajah bana tu,
Yaadoon mein sahi thodi dil mein jagah de..

Monday, April 11, 2016

Ishq ka bazaar

Kaye dil thoote iss ishq ke bazaar mein,
kaye armaan bikhar gaye iss dil lagane ke vyaapar mein,
dene wala dil, bade dil se usse deta hai,
karidh ne wala bhi, bade dil se usse leta hai..

Pal baar ke liye usko apne saath raktha,
khelta aur bahut pyar karta hai,
jab dil bhar jaye uss se,
Thod kar wahi phek deta hai..

Dil thod kar jab woh jatha hai,
peeche na jaane kitne armaano ko kafan pehnata hai,
Haqiqat-E- Ishq ko fareb ka lebaz pehnata hai,
Dard bina kisi zakam ke woh de jatha hai..

Wednesday, March 2, 2016

Purane kitab ke panne.

Khudh kabhi yaad nai karte,
shayad bahut mashruf rehte hai...

yaad dilane pe bhi yaad na aaye,
toh shayad kasoor humara hai...

aapse kya shikayat karein,
jab aapke paas waqt nai hai..

Sach kehte hai, Aksaar purane kitab ke panne bhul jaye karte hai..

Wednesday, January 6, 2016

Nadan insaan...soch zara....

Kahan hai label hum insaano ka,joh humme hindu ya musalman banata hai..
dekhao apna certificate, joh humme apna mazhab batata hai..

Upar wale ne toh sirf insaan humme banaya, zeher humne bhara kaise??
pehle hum janwar ko marte, abh hum insaan-insaan ko marte kaise??

Nadan insaan...soch zara....

Agar ek maa ka ladla shahid huwa hai dusre maa ne bhi apna ladla gawaya hai...,
Agar ek Jawan iss desh ne khoya hai uss desh ne bhi toh ek gawaya hai...