Tuesday, June 28, 2016

Dil ke awaz

Iss dil ke awaz kyun tujh tak nai jathe,
kyun jawab nai deta tu mere pyar ke sawal ka,
kabhi mere chehre ke muskaan huwa kartha tha,
kyun bana tu wajah mere ashqo ka...

Hairan hoon aaj tak zinda hoon,
tujhse bechad kar bhi saas le rahe hoon,
Intezaar hai har pal maut ka,
ek ek lamha ginte rehte hoon...

Mohobaat ka na sahi, tanhai mein saath de,
door se hi sahi, tere hone ka ehsaas de...
Khushi ka na bana, par ghum ke wajah bana tu,
Yaadoon mein sahi thodi dil mein jagah de..

Monday, April 11, 2016

Ishq ka bazaar

Kaye dil thoote iss ishq ke bazaar mein,
kaye armaan bikhar gaye iss dil lagane ke vyaapar mein,
dene wala dil, bade dil se usse deta hai,
karidh ne wala bhi, bade dil se usse leta hai..

Pal baar ke liye usko apne saath raktha,
khelta aur bahut pyar karta hai,
jab dil bhar jaye uss se,
Thod kar wahi phek deta hai..

Dil thod kar jab woh jatha hai,
peeche na jaane kitne armaano ko kafan pehnata hai,
Haqiqat-E- Ishq ko fareb ka lebaz pehnata hai,
Dard bina kisi zakam ke woh de jatha hai..

Wednesday, March 2, 2016

Purane kitab ke panne.

Khudh kabhi yaad nai karte,
shayad bahut mashruf rehte hai...

yaad dilane pe bhi yaad na aaye,
toh shayad kasoor humara hai...

aapse kya shikayat karein,
jab aapke paas waqt nai hai..

Sach kehte hai, Aksaar purane kitab ke panne bhul jaye karte hai..

Wednesday, January 6, 2016

Nadan insaan...soch zara....

Kahan hai label hum insaano ka,joh humme hindu ya musalman banata hai..
dekhao apna certificate, joh humme apna mazhab batata hai..

Upar wale ne toh sirf insaan humme banaya, zeher humne bhara kaise??
pehle hum janwar ko marte, abh hum insaan-insaan ko marte kaise??

Nadan insaan...soch zara....

Agar ek maa ka ladla shahid huwa hai dusre maa ne bhi apna ladla gawaya hai...,
Agar ek Jawan iss desh ne khoya hai uss desh ne bhi toh ek gawaya hai... 

Tuesday, November 3, 2015

Mohobaat ke Gehariyee

Na jaane kitne sadiyaa beet gaye, humme jeete tera naam lete,
Na jaane kitne armaano ko dil mein humne dafan kar le hai,
na koi seema, no koi sarhad tujhe yaad karne ke
warna tujse pyar karne ke, yaad karne ke haadh jaan lete..

khud pe reham aata hai, haasi aate hai khud pe,
yakeen nai hota apne iss mohobaat ke gehariyee pe,
na jane kaise jee gaye hum har lamha tujhe yaad karte,
dil ko sambhala hai tere laut ke aane ke umeed se..

Kash tujhe mere awaz sunaye de kabhi, harjaye...
mere bhehate ashq ke khamoshi, tujh tak pooch jaye..
kabhi tu bhi soche, tera kya chooth gaya hai,
kaun hai joh dard seh kar bhi tujhse milne ke fariyaad kar raha hai..

Monday, November 2, 2015

woh sapne aaj phir yaad aa gaye

Aaj uss bedardi ke yaad aa gaye,
aaj uske bewafi yaad aa gaye..
sapne uske saath jeene ke kabhi dekhe the,
woh sapne aaj phir yaad aa gaye.. :(

Kabhi meine banaya tha mohobaat ka ashiyaan,
pyar ke khusboo, badalon ke beech mein,
phoolo ke mehkate, khusboo har jagah,
Jahaan tu aur mein koi aur tha na darmiyaan..

Ek pal na laga tujhe barbaad karne mein,
dil thodne mein, aashu dene mein...
Intezaar tera aaya, tanhai saath laya,
mood kar toh dekha hota, tere ishq ne kaisa kehar barsaya!!!!

Tuesday, October 13, 2015

Na tum apne ho na paraye

Kabhi na ikraar kiya na izhaar kiya,
kabhi hum, tumhare hai yeh ehsaas kiya..
kis haq se roothe tumse,
hum apke hai yeh kabhi na mehsoos kiya.

Tumse pyar karna humare kamzoori hai,
bhulana, dil se nikalana kabhi na kar pate hai,
saadiyaa bheet gaye tumhare dil ko samajathe,
zindagi bheet gaye khamoshi ko zuban dete...

Na tum apne ho na paraye..door ho aur na paas,
kaise kahe hum, tumhare hai jab lakero ke karein baat,
tujhe paane ke duwa karte, kaat thi hai saare raath,
Taqdeer ka saath na mila, warna Tanhai kyun hote saath..